HAI AGAR DUSHMAN

Hai Agar Dushman – Hum Kisi Se Kam Nahin Lyrics

Hai agar dushman
Hai agar dushman dushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Hai agar dushman dushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Koi aaye
Koi aaye, koi aaye, koi aaye koi
Hum kisi se kam nahin, kam nahin

Hai agar dushman dushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Koi aaye koi
Hum kisi se kam nahin, kam nahin
Hai agar dushman dushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Hai agar dushman dushman

Also Read  www.movierulz.ch telugu

Kya karein dil ki jalan ko Is mohabbat ke chalan ko
Jo bhi ho jaaye ke ab to
Sar se bandha hai kafan ko
Hum to deewane diljale
Zulm ke saaye mein pale
Daal kar aankhon ko tere rukhsaron pe
Roz hi chalte hain hum to angaron pe

Aaj hum jaise jigar waale kahan aaha
Zakm khaya hai tab huye hain jawan aaha
Teer ban jaaye doston ki nazar aaha
Ya bane kanjar dushmanon ki zubaan aaha
Baithe hain tere dar pe
To kuchh kar ke uthenge
Ya tujhko hi le jaayenge
Ya mar ke uthenge
Aaj hum jaise jigar waale kahan
Zakm khaya hai tab huye hain jawan

Also Read  vunnadhi okate zindagi movie online movierulz

Aaj to duniya, aaj to duniya duniya
Nahin ya hum nahin, hum nahin
Koi aaye koi
Hum kisi se kam nahin, kam nahin
Hai agar dushman, ddushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Hai agar dushman, dushman

Lo zara apni khabar bhi
Ik nazar dekho idhar bhi
Husn waale hi nahin hum
Dil bhi rakhte hain jigar bhi
Jhoom ke rakha jo kadam
Reh gayi zanjeer-e-sitam
Kaise ruk jaayenge hum kisi chilman se
Zulfon ko bandha hai yaar ke daaman se

Ishq jab duniya ka nishana bana aaha
Husn bhi ghabra ke deewana bana aaha
Mil gaye rang-e-hina khoon-e-jigar aaha
Tab kahin rangin yeh fasana bana aaha
Bhes majnu ka liya maine jo laila ho kar
Rang laya hai dupatta mera maila ho kar
Ishq jab duniya ka nishana bana
Husn bhi ghabra ke deewana bana

Also Read  GOD ALLAH AUR BHAGWAN LYRICS

Yeh nahin samjho
Yeh nahin samjho samjho
Ke ham mein dam nahin, dam nahin
Koi aaye
Koi aaye, koi aaye, koi aaye koi
Hum kisi se kam nahin, kam nahin
Hai agar dushman dushman
Zamana gham nahin, gham nahin
Hai agar dushman dushman

Hai Agar Dushman – Hum Kisi Se Kam Nahin Lyrics in English

error: Content is protected !!