Chana Jor Garam Lyrics
Tum tum tarara, tum tum taram x 4
Tum tum taram, tum tum taram
Duniya ke hain lakh dharam par apna ek karam
Chana jor garam
Chana jor garam babu main laayi mazedar
Chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar
Chana jor garamMera chana bana hai aala
Jismein dala garam masala
Isko khaayega dilwala chana jor garam
Mera chana kha gaya gora
Mera chana kha gaya gora
Kha ke ban gaya tagda ghoda
Maine pakad ke use maroda
Maar ke tangdi usko toda chana jor garam Chana jor garam babu main laya mazedar
Chana jor garam
Mere chane ki aankh sharabi
Sharabi, chane ki aankh sharabi
Ho iske dekho gaal gulabi
Gulabi, dekho gaal gulabi
Ho iska koi nahi jawabi, iska koi nahi jawabi
Jaise koi kudi Punjabi, jaise koi kudi Punjabi
Nache chhanan chhanan
Nache chhanan chhanan
Kothe chadhke tainu pukara
Sunle mere balam chana jor garam
Chana jor garam babu main laayi mazedar
Mera chana kha gaye gore
Gore, chana kha gaye gore
Ho gore jo ginti mein hain thode
Ho phir bhi maare humko kode
Phir bhi maare humko kode
Tum tum taram taram, tum tum taram taram
Lakhon kode toorte phir bhi toota na dumkham
Chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar
Chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar
Chana jor garam
Chana jor garam, chana jor garam
Chana jor garam, chana jor garam
Chana jor garam, chana jor garam
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka, khudgarzi ka
Sar kafan bandh ke nikla hai
Deewana hai yeh pagla hai
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Apnon se naata jodega
Gairon ke sar ko phodega
Apna yeh vachan nibhayega
Maati ka karz chukayega
Chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Mit jaane ko mit jaayega
Azaad watan kar jaayega
Na to chori hai, na to daaka hai
Bas yeh to ek dhamaka hai
Dhamake mein awaz bhi hai
Ek soz bhi hai, ek saaz bhi hai
Samjho to baat yeh saaf bhi hai
Aur na samjho to raaz bhi hai
Apni dharti, apna hai gagan
Yeh mera hai, mera hai watan
Apni dharti, apna hai gagan
Yeh mera hai, mera hai watan
Is par jo aankh uthayega zinda dafnaya jaayega
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka, khudgarzi ka
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka, khudgarzi ka