CHALA JAATA HOON LYRICS

Chala Jaata Hoon Lyrics

Chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye x (2)

Milan ki masti bhari aankhon mein
Hazaron sapne suhaane liye
Ho chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye

Yeh masti ke nazaare hain
To aise mein sambhalna kaisa meri kasamJo lehraati dagariya ho to phir kyun na
Chaloon mai behka, behka re
Mere jeevan mein yeh shaam aayi hai
Mohabbat waale zamane liye
Ho chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye

Woh aalam bhi ajab hoga
Woh jab mere kareeb aayegi meri kasam Kabhi bahiyan chhuda legi
Kabhi hans ke gale se lag jaayegi haye
Meri baahon mein machal jaayegi
Woh sachche jhoothe bahaane liye
Ho chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye

Also Read  www.isaimini.com malayalam movies

Baharon mein, nazaron me, nazar daaloon
To aisa laage meri kasam
Woh nainon mein bhare kaajal ghooghat khole
Khadi hai mere aage re
Sharam se bojhal jhuki palkon mein
Jawan raaton ke fasane liye

Ho chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye
Milan ki masti bhari aankhon mein
Hazaron sapne suhaane liye
Chala jaata hoon kisi ki dhun mein
Dhadakte dil ke taraane liye

Chala Jaata Hoon Lyrics In English

error: Content is protected !!