BADI DOOR SE AAYE HAIN LYRICS

Badi Door Se Aaye Hain Lyrics

Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain
Bohat achche bachche!
Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain
Apna lo ya thukra do, pyar ka tohfa laaye hain
Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain

Jo dilon ke naate hain woh jode nahi jaate
Jo dilon ke naate hain woh jode nahi jaate
Jod liye to phir tode nahi jaateYeh naate, yeh naate
Yeh naate dil mein basaaye hain
Pyar ka tohfa laaye hain
Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain

Also Read  kaatru veliyidai tamilrockers

Anjaane logon mein koyi sathi to milega
Anjaane logon mein koyi sathi to milega
Koyi to hoga jo humko samjhega
Yeh sapna, yeh sapna Yeh sapna dil mein sajaaye hain
Pyar ka tohfa laaye hain
Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain

Hum yaar hain yaaron ke nibha denge yaari
Kya samjhe bachche!
Hum yaar hain yaaron ke nibha denge yaari
Yaari hai humko saari duniya se pyari
Apna to dil hai saada, phir bhi hai atal iraade
Hai jaan se pyara vaada, vaada kabhi na todenge
Jeete jee hum yaaron ka sath na chhodenge
Jeete jee hum yaaron ka sath na chhodenge
Sahaare, sahaare
Sahaare yaaron ke paaye hain
Pyar ka tohfa laaye hain
Badi door se aaye hain, pyar ka tohfa laaye hain

Also Read  JIGAR DA TUKDA LYRICS

Badi Door Se Aaye Hain Lyrics In English

error: Content is protected !!