AB KYA MISAAL DOON MAIN LYRICS

Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics

Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Insan ban gayi hai kiran mahtab ki
Ab kya misaal doon

Chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
Aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
Gardan hai ek jhuki huyi daali, daali gulaab ki
Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Ab kya misaal doon

Gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
Chhoo le kadam to jhuk ke na phir aasman uthe
Sau baar jhil-milaye shama, shama aftaab ki
Ab kya misaal doon

Also Read  skymovies in hollywood

Deevar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
Ghar ka mere charag hai boota sa yeh badan
Tasveer ho tumhi mere jannat ke
Jannat ke khwaab ki Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Insan ban gayi hai kiran mahtab ki
Ab kya misaal doon

Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics In English

error: Content is protected !!