Humse Ka Bhool Hui Lyrics
Humse ka bhool hui jo yeh saza hamka mili

Ab to chaaron hi taraf band hai duniya ki gali

Dil kisi ka na dukhe humne bas itna chaaha
Paap se door rahe, jhooth se bachna chaaha

Uska badla yeh mila ulti chhuri hum pe chaliAb to chaaron hi taraf band hai duniya ki gali
Humse ka bhool hui jo yeh saza hamka mili
Hum pe ilzam yeh hai chor ko kyun chor kaha
Kyun sahi baat kahi, kaahe na kuchh aur kaha

Yeh hai insaaf tera wah re daata ki gali
Ab to chaaron hi taraf band hai duniya ki gali
Humse ka bhool hui jo yeh saza hamka mili
Ab to imaan dharam ki koi keemat hi nahi
Jaise sach bolane waalon ki zaroorat hi nahi

Aisi duniya se to duniya teri veeran bhali
Ab to chaaron hi taraf band hai duniya ki gali
Humse ka bhool hui jo yeh saza hamka mili
Humse ka bhool hui jo yeh saza hamka mili
Part 2
Thokarein humko kubool raah kisi ko mil jaaye
Hum huye zakhmi to kya
Dooje ka gulshan khil jaaye
Hum huye zakhmi to kya
Dooje ka gulshan khil jaaye
Daag sab humko mile
Yaar ko sab phool kali
Daag sab humko mile
Yaar ko sab phool kali
Zindgani ki shama bujh ke agar reh jaaye
Yeh samajh lenge ke hum
Aaj kisi kaam aaye
Yeh samajh lenge ke hum
Aaj kisi kaam aaye
Jyot apni jo bujhi
Yaar ke jeevan mein jale
Jyot apni jo bujhi
Yaar ke jeevan mein jale